Suno Toh Zara

Suno toh zara anokhee badi
Ek kahani suno

Oh Suno toh zara anokhee badi
Ek kahani suno


Ek pyaarra sa bachha mujhe yaad hai
Hum jaisa hi.. par usski alag kahani hai

Bada budhimani..
Bada mehnati
Bhola bhala sa woh

Oof oh.. naam bhi toh bolo naa

Batata hun.. batata hun..

Dard kisi ka jo dekhta magar
Ek muskaan se woh deta saral
Aur naam tha uska Jashan
Bolo naam tha uska.. Jashan

Aisa pyaarra humara Jashan
Aree Aisa pyaarra humara Jashan

Koee afsar ya koee sahab bhi ban sakta tha
saara jahaan uss ke kadmon mein jhukta tha

Kucch bhi naa bhaaya mann ko magar
Kiya apna jeevan Guru charno par
Guru ke aadeshon par chalta raha
Dukhiyoon ki seva woh karta raha..

Naam tha uska..Jashan

Bolo naam tha uska..Jashan

Aisa pyaarra humara Jashan
Aree Aisa pyaarra humara Jashan
* * *