SAKHIREE MAIN TOH RANG RANG GAYEE

Rang Gayee, Rang Gayee, Rang Gayee, Rang Gayee
Rang Mein, Rang Mein, Rang Mein, Rang Mein
Sakhiree Main Toh Rang Rang Gayee, Shyam Rang Mein

Sunder Saaf Soorat Suhaanee, Baar Baar Jaa-oon Kurbaan
Mohani Moorat Mohan Ki, Dekh Dekh Kar Hoon Hairaan
Sakhiree Main Toh Rang Rang Gayee, Shyam Rang Mein

Mehboob Mere Sang Hameshaa, Pal Bhi Door Naa Rahay
Ik Pal Bhi Door Naa Rahay
Oothat Baithat Sovat Jaagat, Dil Mein Aag Jalay
Sakhiree Main Toh Rang Rang Gayee, Shyam Rang Mein

Khwaabon Mein, Khayaalon Mein, Bas Tera Hee Deedaar
Shyam Pyaaraa, Murli Vaalaa Tu Hee Mera Pyaar
Toon Hee Mera Pyaar, Tu Hee Mera Sansaar
Sakhiree Main Toh Rang Rang Gayee, Shyam Rang Mein

Anjali Jhoomey Aanand Mein, Kaisey Karey Izhaar
Itni Meethi Preet Hai Teri, Mahimaa Apram Apaar
Sakhiree Main Toh Rang Rang Gayee, Shyam Rang Mein